kisi nigah kisi dil talak nahin pahunche
By siraj-sholapuriMay 9, 2022
kisi nigah kisi dil talak nahin pahunche
rahe safar mein jo manzil talak nahin pahunche
junun abas hai jo maqtal talak nahin laya
wo sar hi kya hain jo qatil talak nahin pahunche
bhanwar ki chah mein gharqab hum hue to kya
safine kitne hi sahil talak nahin pahunche
shikast-o-fath ki lazzat se tum nahin waqif
abhi to tum kisi mushkil talak nahin pahunche
unhin ko dawa hai basti mein dast-giri ka
wo dastgir jo sail talak nahin pahunche
hain sach ke aaine jitne bhi tut jaenge
hamare hath jo baatil talak nahin pahunche
hamare dard ke qisse hain fard-e-farda bhi
raqam na ho sake mahfil talak nahin pahunche

29102 viewsghazal • English