koi diya kisi chaukhaT pe ab na jalne ka
By suleman-khumarNovember 22, 2020
koi diya kisi chaukhat pe ab na jalne ka
siyah raat ka manzar nahin badalne ka
wo rut badal gai sab se qarib rahne ki
zamana khatm hua sab ke sath chalne ka
lo apne jurm ka iqrar kar rahe hain hum
hunar na aaya hamein baat ko badalne ka
kise hai aarzu tanhaiyon mein jalne ki
kise hai shauq kisi ke liye pighalne ka
ye chahaton ka bhanwar hai siwae maut 'khumar'
nahin hai rasta bahar koi nikalne ka
siyah raat ka manzar nahin badalne ka
wo rut badal gai sab se qarib rahne ki
zamana khatm hua sab ke sath chalne ka
lo apne jurm ka iqrar kar rahe hain hum
hunar na aaya hamein baat ko badalne ka
kise hai aarzu tanhaiyon mein jalne ki
kise hai shauq kisi ke liye pighalne ka
ye chahaton ka bhanwar hai siwae maut 'khumar'
nahin hai rasta bahar koi nikalne ka
79211 viewsghazal • English