koi harf-e-nafi na kaam aaya

koi harf-e-nafi na kaam aaya
kitni sachchi thi dosti apni

thokaren kha kar ke surakh-ru thahra
ek dua hai ye zindagi apni

ab kahan hai koi harif apna
khub darti hai be-kasi apni

kaise tarikh ko bhula dalun
khun mein dubi hai ye sadi apni

kuchh na khata hun kuchh na pita hun
bhuki soti hai muflisi apni

khali botal taka hi karti hai
kitni pyasi hai mai-kashi apni

shayad apna khuda tarash liya
ab kahan hai wo bandagi apni

shayad 'iqbaal' se dari hogi
pahle sarshaar thi khudi apni

sare alfaz sath chhod gae
sada kaghaz hai shairi apni

karwan chhod ke wo aaya hai
ek musafir hai rahbari apni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close