koi mujh mein hai main kisi mein hun

By nawaz-deobandiNovember 11, 2020
koi mujh mein hai main kisi mein hun
main andhera hun raushni mein hun
tere gham mein hun main khushi mein hun
dhup mein aur chandni mein hun


maut jis se najat deti hai
qaid aisi hi zindagi mein hun
kyun mere dost mujh se bachte hain
aisa lagta hai muflisi mein hun


mere aib-o-hunar chhupen kaise
main 'nawaz' apni shairi mein hun
75159 viewsghazalEnglish