koi to shakl mohabbat mein sazgar aae

By jameeluddin-aaliNovember 2, 2020
koi to shakl mohabbat mein sazgar aae
hansi nahin hai to rone se hi qarar aae
hai ek neamat-e-uzma gham-e-mohabbat bhi
magar ye shart ki insan ko sazgar aae


junun-e-dasht-pasandi batae deta hai
guzarni thi jo ghar mein wo hum guzar aae
guzarni hai mujhe umr tere qadmon mein
mujhe na kyun tere wadon pe e'tibar aae


tumhaari bazm se aa kar wahi khayal raha
hum ek bar gae tum hazar bar aae
nigah-e-dost koi aur baat hai warna
tu be-qarar kare aur mujhe qarar aae


hai mutmain bhi to kis kis umid-o-bim ke sath
wo na-murad jise lutf-e-intizar aae
bata gai hai jo mujh ko wo be-qarar nigah
na kah sakunga agar aaj bhi qarar aae


ye imtiyaz hai 'ghaalib' ke baad 'ali' ka
ki jis pe aap mare hain use bhi mar aae
21297 viewsghazalEnglish