kuchh bhi to yahan hasb-e-maraatib nahin lagta

By pinhaanMay 5, 2021
kuchh bhi to yahan hasb-e-maraatib nahin lagta
aur shikwa-e-haalat munasib nahin lagta
kyon us se kahen kuchh ki jo sun ke bhi rahe chup
aisa to mukhatib bhi mukhatib nahin lagta


aata bhi nahin samne karta bhi nahin baat
mahbub kahan wo to musahib nahin lagta
iblis chura laya hai kya lauh-o-qalam bhi
wo malik-e-taqdir ye katib nahin lagta


insan se insan ka taaruf bhi nahin hai
surat se koi sadiq-o-kazib nahin lagta
shar jit gaya haar gaya khair yahan bhi
dil ab to mohabbat ka bhi talib nahin lagta


jis dard ki duniya mein dawaen nahin miltin
us dard ka izhaar munasib nahin lagta
95873 viewsghazalEnglish