kya kahun khamosh dariya se main pani ke liye mauj hi raazi nahin koi rawani ke liye lag gae rang-e-hunar sab ek hi taswir mein phir koi surat na nikli naqsh-e-sani ke liye sochta hun main bhi dekhun dil ke aaine mein ab kitni gunjaish hai aks-e-kaamrani ke liye koi gar puchhe to kya batlaiye jate hue hum ne to kuchh bhi nahin chhoda nishani ke liye samne us shoala-ru ke jal sake kis ka charagh chand suraj bhi hain jis ki pasbani ke liye