kya koi samjhega afsana mera
By munawwar-lakhnaviNovember 9, 2020
kya koi samjhega afsana mera
haal hai sab se judagana mera
mai pilana hai to yun saqi pila
ho kabhi khali na paimana mera
tum bana lete ho apni dastan
jab ulat jata hai afsana mera
zarf mera meri himmat dekh kar
chum lete hain wo paimana mera
ai 'munawar' main hun ek aazad mard
mashrab-o-maslak hai rindana mera
haal hai sab se judagana mera
mai pilana hai to yun saqi pila
ho kabhi khali na paimana mera
tum bana lete ho apni dastan
jab ulat jata hai afsana mera
zarf mera meri himmat dekh kar
chum lete hain wo paimana mera
ai 'munawar' main hun ek aazad mard
mashrab-o-maslak hai rindana mera
55386 viewsghazal • English