kya kya wo hamein suna gaya hai

By basir-sultan-kazmiFebruary 3, 2021
kya kya wo hamein suna gaya hai
rah rah ke khayal aa raha hai
ek baat na kah ke aaj koi
baaton mein hamein hara gaya hai


tum khush nahin hoge hum se mil ke
aa jaenge hum hamara kya hai
hum lakh jawaz dhundte hon
jo kaam bura hai wo bura hai


kya faeda faede ka yaro
nuqsan mein kya muzaiqa hai
tum thik hi kah rahe the us din
kuchh hum ne bhi in dinon suna hai


jitni hai teri nigah qatil
utni tere hath mein shifa hai
do-shakha hai mere zehn mein kyon
jab samne ek rasta hai


kahne ko hara-bhara hai lekin
andar se darakht khokhla hai
khush karne ko jo kahi thi tu ne
'basir' usi baat par khafa hai


32166 viewsghazalEnglish