kyon teri mohabbat mein dard sah raha hun main
By santosh-singh-shekharJune 17, 2022
kyon teri mohabbat mein dard sah raha hun main
gar teri adalat mein be-gunah raha hun main
ai khuda hifazat hai us ki ab tere zimme
ek tere bharose hi dur rah raha hun main
tera ho nahin sakta main kisi bhi taur ab to
par tujhe pata hai na jhut keh raha hun main
surat-e-nadi ki ab mujh ko kya zarurat hai
sirat-e-nadi mein jab yar bah raha hun main
ilm git ghazlon ka mujh ko hai nahin ‘shekhar’
hasil-e-mohabbat hai jo bhi kah raha hun main

21040 viewsghazal • English