lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho

By tafzeel-ahmadNovember 22, 2020
lab-e-mantiq rahe koi na chashm-e-lan-tarani ho
zamin phir se murattab ho falak par nazar-e-sani ho
abhi tak hum ne jo manga tere shayan nahin manga
sikha de hum ko kun kahna jo teri mehrbani ho


khas-e-be-majra hain khar be-bazar hain to kya
numu-shahkar hum bhi hain hamari bhi kisani ho
milenge dhup ki mari chatanon mein bhi khwab-e-nam
koi khushki nahin aisi jahan tah mein na pani ho


lahu ko bhi tanaffus hi rawan rakhta hai khaliyon mein
bahe sahra mein bhi kashti agar zor-e-dukhani ho
bada surkhab par nikla badan ka khun-chakan rahna
shafaq sayyah ki lazim thi rangat arghawani ho


takhatub ke liye 'tafzil' abjad mere hazir hain
koi naqqara-khana ho ki bait be-zabani ho
57003 viewsghazalEnglish