laegi rang aap ki ye dil-lagi kuchh aur badh kar rahegi ab meri aashuftagi kuchh aur mujh par khulenge aur abhi raaz-ha-e-ishq dil ko milegi lazzat-e-bechaargi kuchh aur meri hayat ishq hai tamhid-e-imbisat jalwe dikhaegi mujhe khud-raftagi kuchh aur un ki taraf hai chashm-e-sukhan go dam-e-akhir us ke siwa nahin asar-e-zindagi kuchh aur han ai khayal-e-dost dikha dost ko dikha baqi kuchh aur hai hawas-e-bandagi kuchh aur rahta na itna dur main us jalwa-gah se ai kash ubhaarta gham-e-uftadgi kuchh aur wade yunhi jo karte rahenge wo nau-ba-nau hasil karunga main tarab-e-zindagi kuchh aur 'manzur' ek nigah-e-tarab-soz ke siwa dekha na hum ne hasil-e-sharmindagi kuchh aur