lafz ki tah se ye mafhum talak jati hai

lafz ki tah se ye mafhum talak jati hai
fikr ki aag hai tahrir ka dam khati hai

kuchh na kahte hue rakhta hai asar kahne ka
in hawaon ka lab-o-lahja tilsmati hai

mujh ko lai hai kai bar tere kuche tak
khwab-zaron se jo ek rah guzar jati hai

khud ko aaina bana rakkha hai jab se mein ne
zindagi samne aate hue sharmati hai

rang lai meri aankhon ki jalan ai 'jami'
kucha-e-shab se ujalon ki hawa aati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close