lafz-o-mani ki ye sab jhuTi numaish chhoD de

lafz-o-mani ki ye sab jhuti numaish chhod de
yun hama-dani ki nadan apni khwahish chhod de

zad pe aa jaega tera aaina bhi yaad rakh
aainon pe sang barsane ki koshish chhod de

aag jab bhadkegi koi ghar na bach paega phir
dusron ka ghar jalane ki ye sazish chhod de

ban na jae wajh-e-ruswai ye teri ek din
apne munh se apni hi karna sataish chhod de

koi diwar-e-ana qaem rahe kyon darmiyan
jo dilon ko dur kar de aisi ranjish chhod de

jo sarayat kar gaya 'betab' rag rag mein teri
us ki yaadon ko bhulane ki ye kawish chhod de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close