lahu ragon mein sambhaala nahin gaya mujhse

lahu ragon mein sambhaala nahin gaya mujh se
kisi disha mein uchhaala nahin gaya mujh se

sudaul banhon mein bharta main loch sawan ka
wo sang mom mein dhaala nahin gaya mujh se

main khwab padhta tha hamsaegi ki abjad se
magar wo husn khayala nahin gaya mujh se

wahi hai mere lahu mein chamak uluhi si
samay ujalne wala nahin gaya mujh se

firaq kahti thin nepali naddiyan 'amir'
magar shikoh-e-himala nahin gaya mujh se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close