lala-o-gul ka lahu bhi raegan hone laga pankhudi par qatra-e-shabnam garan hone laga rafta rafta aankh se aansu rawan hone laga waqt ke khake mein naqsh-e-jawedan hone laga is tarah tahrir ke alfaz lau dene lage dekhte hi dekhte kaghaz dhuan hone laga silsile tahrir ke manzil-ba-manzil tai hue lafz jo main ne likha wo karwan hone laga jab se nazren mahw-e-tazin-e-nazara ho gain aaina ijz-e-numaish ki zaban hone laga kya khizan ne rang-o-nikhat par kamanden dal din kyun lab-e-gul ka tabassum bhi fughan hone laga raushni ki saltanat bhi gul-badaman ho gai ek shoala mom par jab hukmaran hone laga