lamha-e-talkhi-e-guftar talak le aaya wo mujhe apne hi mear talak le aaya kya rakhe us se koi silsila-e-guft-o-shunid ghar ki baaton ko jo bazar talak le aaya main ne jo baat bharose pe kahi thi us se wo use surkhi-e-akhbar talak le aaya ghar mein jab kuchh na bacha us ki ianat ke liye main utha kar dar-o-diwar talak le aaya us ki aankhon mein ajab sehr tha main jis ke sabab dil ki baaten lab-e-izhaar talak le aaya wo jo qail hi na tha meri mohabbat ka use rafta rafta had-e-iqrar talak le aaya mere har jhut ko duniya ne saraha lekin ek sach marhala-e-dar talak le aaya