laraz laraz to gaya ek charagh-e-nim-shabi magar sambhal ke jala ek charagh-e-nim-shabi sabhi dilon mein ajab khauf tha andhere ka magar zara na dara ek charagh-e-nim-shabi main sochta tha akela hi jal raha hun yahan mera rafiq hua ek charagh-e-nim-shabi na jaane kahna tha kya us ne sone walon se pukarta hi raha ek charagh-e-nim-shabi tapish huruf ki shayad usi ki lau se mili meri ghazal mein jala ek charagh-e-nim-shabi