lipTi hui phirti hai nasim unki qaba se

By waheed-akhtarNovember 24, 2020
lipti hui phirti hai nasim un ki qaba se
gul khilte hain har gam pe daman ki hawa se
dil aisa diya kyun ki raha kushta-a-jaanan
tum se nahin ye shikwa bhi karna hai khuda se


mahram hain hamin garmi-e-guftar se un ki
jo hont jo aankhen hain giran-bar haya se
aahista karo chaak gulo apna gareban
gunje na chaman ghunchon ke hansne ki sada se


kholenge unhin hathon ke nakhun girah-e-dil
jo basta hain rangini-o-khushbu-e-hina se
tabir ke sahraon mein hain khwab-e-pareshan
dariya ko sarabon se sada dete hain pyase


lete ho agar nam-e-shahidan to hai ye shart
jaan jae rahe pa na haten rah-e-wafa se
14090 viewsghazalEnglish