liye main qadam jo uske to kiya itab ulTa

By fakhruddin-khan-mahirOctober 29, 2020
liye main qadam jo us ke to kiya itab ulta
kahi baat main ne sidhi to diya jawab ulta
wo jo ghair hain so un se tumhein be-takallufi hai
hamein dekh kar ke ab tum karo ho hijab ulta


ye wo daur hai azizo hai najib gardi is mein
chali baad ab wo jis se waraq-e-kitab ulta
wahin mehr zarra ho kar laga aankh ko jhapakne
lab-e-baam un ne rukh se jo sahar naqab ulta


main talash mein kal us ke phira dar-ba-dar wo 'mahir'
na mila to ghar ko apne main phira kharab ulta
78293 viewsghazalEnglish