lo KHatm ho gae hum baalin se dost sarke

By maikash-akbarabadiSeptember 4, 2022
lo khatm ho gae hum baalin se dost sarke
tai ho gae qaziyye dam-bhar mein umr-bhar ke
puchho na haal dil ka aata hai yaad kya kya
taza hain har khushi mein sab dagh umr-bhar ke


hosh aa gaya mukarrar bas kar itab bas kar
phir ek nigah hans kar sadqe teri nazar ke
'maikash' ke dam se taza agli sharafaten hain
ab aadmi kahan hain us dil ke us nazar ke


43674 viewsghazalEnglish