log kahte hain ki laila parda-e-mahmil mein hai

By hajir-dehlwiSeptember 3, 2023
log kahte hain ki laila parda-e-mahmil mein hai
qais kahta hai ghalat hai wo to mere dil mein hai
mujh ko da'wa tha ki tera 'ishq mere dil mein hai
dekhta hun ab tera charcha har ek mahfil mein hai


ek nazar dushman ki jaanib ek hamari samt hai
kuchh nahin ma'lum kya us be-wafa ke dil mein hai
aur bhi ek hath ai qatil khuda ke waste
jaan thodi si abhi baqi tan-e-bismil mein hai


aap pura kar nahin sakte mujhe ma'lum hai
puchh kar kya kijiyega jo tamanna dil mein hai
rah-e-ulfat mein chala jata hun main diwana-war
kuchh nahin ma'lum kitna fasla manzil mein hai


ek wo din the ki jab tha aarzuon ka hujum
ab ye haalat hai ki hasrat ki bhi hasrat dil mein hai
parsa bhi rind ban jate hain aa kar is jagah
kuchh 'ajab tasir maikhane ke aab-o-gil mein hai


al-madad ai nakhuda-e-bahr-e-ulfat al-madad
fasla do hath ka ab kashti-o-sahil mein hai
faisla ho jae kis ki dosti manzur hai
main bhi hun maujud dushman bhi teri mahfil mein hai


aap agar anjaan ban jaen to is ka kya 'ilaj
aap ko ma'lum hai jo kuchh hamare dil mein hai
'ishq bhi dushwar tark-e-‘ishq bhi dushwar-tar
ye dil-e-na-‘aqibat-andesh ab mushkil mein hai


munhasir hai marg par bimar-e-ulfat ki shifa
chaara-gar tu kyon 'abas is sa'i-e-la-hasil mein hai
wo yahan par khud chale aaenge 'hajir' dekhna
kuchh asar baqi gar apne jazba-e-kaamil mein hai


59529 viewsghazalEnglish