logon ke murshad ek taraf

By ikram-basraOctober 31, 2020
logon ke murshad ek taraf
aur zehn mein shayad ek taraf
lekin kahne ko zinda hain
marna sau fisad ek taraf


aawazen qaid nahin hotin
had ho ya sarhad ek taraf
tum aao to ho sakta hai
jine ka maqsad ek taraf


ab tak jau bhi tahrir hua
tere nam ke abjad ek taraf
duniya mein sab kuchh fani hai
tere khal-o-khad ek taraf


hum thahre hue raston se hain
ye rukhsat-o-amad ek taraf
naqshe kaghaz ke tukde hain
sine mein sarhad ek taraf


insan khata ka putla hai
albatta murtad ek taraf
bas nam rahe ga allah ka
baqi shadd-o-mad ek taraf


79353 viewsghazalEnglish