madad ai KHayal-e-mazi zara aaina uThana
By siraj-lakhnaviNovember 21, 2020
madad ai khayal-e-mazi zara aaina uthana
main badal gaya hun khud hi ki badal gaya zamana
mere khaliq-e-gulistan ye saman na phir dikhana
ki khud apni raushni mein nazar aae aashiyana
ye hai jiddat-e-takhayyul to bhala kahan thikana
milen bijliyon ke tinke to banaun aashiyana
ye qafas qafas na rahta nazar aata aashiyana
mere baal-o-par se pahle mere dil ka tut jaana
ye na puchh phul barse ki giri dilon pe bijli
zara dekh aaine mein kabhi apna muskurana
mera ek ek aansu gham-e-fikr-e-do-jahan hai
kabhi khushk karna daman kabhi aastin sukhana
rag-o-pai mein barq daude yahi lutf-e-zindagi hai
mere muskurane wale yunhi muskurae jaana
mere sham-e-gham ki zinat mere aansuon ke taro
tumhein kaam kya sahar se kahin tum na dub jaana
kahun kya 'siraj' tum se jo guzar rahi hai dil par
ye qafas ki zindagi aur ye bahaar ka zamana

72836 viewsghazal • English