mahaul ne Dala hai asar aur tarah ka

mahaul ne dala hai asar aur tarah ka
phal aur tarah ke hain shajar aur tarah ka

larzida mile wadi-e-zulmat ke rahraw
aaya mere hisse mein safar aur tarah ka

dushman ki har ek chaal se bach aaya main lekin
yaron ne dikhaya hai hunar aur tarah ka

har bar badha karti hai be-tabi-e-dil aur
har bar wo aata hai nazar aur tarah ka

mushtaq to pahle bhi bahut the magar ab ke
majma hai sar-e-rahguzar aur tarah ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close