mahshar ka etibar hua hai kabhi kabhi

By afqar-mohaniOctober 23, 2020
mahshar ka e'tibar hua hai kabhi kabhi
be-parda husn-e-yar hua hai kabhi kabhi
raqsan jamal-e-yar hua hai kabhi kabhi
parda mein intishaar hua hai kabhi kabhi


pahunchi hai khak-e-ashiq-e-barbaad arsh par
uncha agar ghubar hua hai kabhi kabhi
zahid tawaf karte hain us aastan ka hum
kabe mein jo shumar hua hai kabhi kabhi


paiman-shikan ke wade ke hamrah ai ajal
tera bhi intizar hua hai kabhi kabhi
ek sajda wo bhi be-khudi-e-iztirab mein
us aastan pe bar hua hai kabhi kabhi


daman-e-tang-o-josh-e-bahaaran ko dekh kar
andaza-e-bahaar hua hai kabhi kabhi
wo khud hi raaz ban gaya duniya ke waste
jo us ka raazdar hua hai kabhi kabhi


jaise wo aae baithe bhi uth kar chale gae
is darja e'tibar hua hai kabhi kabhi
wahdat parastiyon se bhi 'afqar' khuda gawah
barham mizaj-e-yar hua hai kabhi kabhi


45308 viewsghazalEnglish