main aaina dikhaun is se pahle bol padte hain khud apni hi safai mein ye chehre bol padte hain khuda jaane ye kaisi maslahat ki qaid hai yaro ki jhuton ki himayat mein bhi sachche bol padte hain chhupa leta hun manzil se main sab dushwariyan lekin safar ka haal in pairon ke chhaale bol padte hain unhen malum hai anjam apni lab-kushai ka magar fitrat se hain majbur shishe bol padte hain ta'alluq kaun rakhta hai kisi nakaam se lekin mile jo kaamyabi sare rishte bol padte hain meri khubi pe rahte hain yahan ahl-e-zaban khamosh mere aibon pe ho charcha to gunge bol padte hain