main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega
By hijab-abbasiOctober 31, 2020
main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega
na main likkhun to phir is bebasi ko kaun likhega
bahut masruf hain ahl-e-jahan harza-sarai mein
ab aashob-e-sukhan mein be-hisi ko kaun likkhega
kai sadiyan guzarin manzilon ke khoj mein phirte
to phir mere siwa is gumrahi ko kaun likkhega
hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen
yahan is haw-hu mein khamushi ko kaun likkhega
use fursat nahin sahil
samundar
mauj likhne se
pareshan hun meri tishna-labi ko kaun likkhega
'hijab' is shahr-e-na-pursan mein sab jhagda ana ka hai
surur-e-khud-parasti mein khudi ko kaun likkhega

69406 viewsghazal • English