main apne jurm ka jab e'tiraf karta hun har ek faisla apne khilaf karta hun main pahle deta hun tartib halqa-e-ahbab phir apne logon ko apne khilaf karta hun main kaise man lun har baat aasman teri zamin-zad hun so ikhtilaf karta hun ajib tarah ki dekhi hai raushni khud mein main ek umr se apna tawaf karta hun main manta hun ki mujh se bhi hoti rahti hain so doston ki khataen muaf karta hun