main dua mangun to dil mujhse KHafa ho jaega

By om-krishn-rahatNovember 12, 2020
main dua mangun to dil mujh se khafa ho jaega
sar jhuka to sar ko sajdon ka nasha ho jaega
khwahishon ke dubte suraj ne batlaya na tha
mera saya mere qad se bhi bada ho jaega


ya to mujh se chhin lo ye but-tarashi ka hunar
warna main jo but tarashun to khuda ho jaega
guftugu mein zabt lazim hai zara si chuk par
lab pe aa ke harf harf-e-muddaa ho jaega


ye mujhe malum kab tha khwahishon ki bhid mein
mera ek ek sans jine ki saza ho jaega
mere dard-o-karb ki parchhaiyan chehre pe hain
main ye aansu rok bhi lunga to kya ho jaega


baat to jurm-o-saza ki hai magar mahshar ke din
kuchh na kuchh us se hamara faisla ho jaega
93288 viewsghazalEnglish