main KHush hun aur ye duniya dukhi hai
By syed-sarosh-asifJuly 31, 2020
main khush hun aur ye duniya dukhi hai
mujhe is baat par sharmindagi hai
tumhaare samne raste khule hain
hamare samne andhi gali hai
mera bistar bhi aakhir puchh baitha
tumhaari nind se kya dushmani hai
hamein bhi aur kuchh kahna nahin hai
use jaane ki bhi jaldi badi hai
samundar is liye mujh se khafa hain
meri ek jal-pari se dosti hai
mujhe is baat par sharmindagi hai
tumhaare samne raste khule hain
hamare samne andhi gali hai
mera bistar bhi aakhir puchh baitha
tumhaari nind se kya dushmani hai
hamein bhi aur kuchh kahna nahin hai
use jaane ki bhi jaldi badi hai
samundar is liye mujh se khafa hain
meri ek jal-pari se dosti hai
51476 viewsghazal • English