main tere pas hun mujh se ye kah raha koi hai tamam shab meri aankhon mein jagta koi hai diya umid ka bujhta hai jalti aankhon mein kisi ke lab pe mere waste dua koi hai purani baaton ki yaaden bhikariyon ki tarah sawal karti hain aiwan-e-dil pe kya koi hai guman guzarta hai hote hue na hone ka teri nigah mein jadu magar naya koi hai ye khwab ka hai safar main hun khwab-ru ki tarah na ibtida hi thi kuchh aur na intiha koi hai na wo faza na wo chashme na wadiyan na wo log magar ye wahm meri rah dekhta koi hai shikasta-dil tu use chhod kar na ja 'ghafil' ki tere saz mein muzmar abhi sada koi hai