main zard aag na pani ke sard dar mein raha raha to soi hui khak ke khatar mein raha wo gard-baad ki dil ki zaban ka zaiqa hai nazar-ufuq pe huwaida hua na sar mein raha ki shamil is mein meri larzish-e-khayal bhi thi jo asl chhod ke main aks ke asar mein raha tere libas pe ho us ki wapsi ki chamak jo ek umr tere khun ke asar mein raha ghira tha chaaron taraf dhod ki qanat sa main magan zamana kisi naqsh-e-tar-ba-tar mein raha us ek lamhe ki gum-gashtagi pe khush hain sabhi jo hashr ban ke mere sang-e-be-sharar mein raha ye shahr zinda hai lekin har ek lafz ki lash jahan kahin se uthi shor mere ghar mein raha chapatiyan thin bandhi pet par magar shab-bhar ubharta dubta main bhuk ke bhanwar mein raha kahan se kaise kise kaun le uda tha 'zafar' jo aadhi raat ko raula sa dasht o dar mein raha