majruh-e-arzu kabhi mera jigar na ho minnat-shanas tir-e-nazar dil agar na ho mumkin hai ye ki zabt karun aankh tar na ho dar hai kahin tarawish-e-lakht-e-jigar na ho tikhi nigah se dekh len khanjar agar na ho mumkin nahin ki tir-e-nazar kargar na ho daman ko kyon bachae hue ja rahe hain wo pamal gham ki khak sar-e-rahguzar na ho anjaan tum bane raho ye aur baat hai aisa to kya hai tum ko hamari khabar na ho bimar-e-gham hai soz-e-alam ka phunka hua har qatra ashk-e-surkh ka dar hai sharar na ho hain sarfarosh lazzat-e-rahat se aashna sardar kaun hai wo jise dard-e-sar na ho aisa nishana chahiye nawak-fagan mere dil par lage jo tir jigar ko khabar na ho sarmaya-dar-e-aib-e-wafa hun azal se main kuchh gham nahin mujhe jo mata-e-hunar na ho 'bedil' ke dil se zulf ka jata nahin khayal ye khana-e-khuda kisi kafir ka ghar na ho