manzaron ki bhid thi koi pas-e-manzar na tha karwan-e-waqt pahle aisa be-mehwar na tha ek sada-e-be-sada ki gunj thi chaaron taraf sirf sae rengte the koi bhi paikar na tha kaun de ilzam kis par raushni ke qatl ka badhne wali zulmaton ke hath mein khanjar na tha thi hawaon ki wo sazish ya taqaza waqt ka barhana the ped sare koi barg-e-tar na tha apni fitrat hi azal se surat-e-simab thi main rawan tha misl-e-dariya ghat ka patthar na tha barish-e-sang-e-malamat yun to har jaanib se thi sar-buland apni ana thi mujh ko fikr-e-sar na tha tai hua kuchh is tarah sahra-e-hasti ka safar jaise apne sar pe 'jauhar' gumbad-e-be-dar na tha