manzil-e-hayat se be-KHatar guzar gaya

By abdul-majeed-dard-bhopaliApril 7, 2023
manzil-e-hayat se be-khatar guzar gaya
aap jalwa-rez the main jidhar jidhar gaya
hadsat-e-dahr se mast-o-be-khabar gaya
justuju-e-shauq mein dil nikhar nikhar gaya


jurat-e-rawani-e-rahbar na puchhiye
manzilon ko chhodta karwan guzar gaya
jag utha to zindagi so gaya to maut hai
itna jaan le to phir aadmi sanwar gaya


rahnuma ke bhes mein rahzan hain aaj-kal
e'timad-e-rahbar dil se ab utar gaya
tum mile to mit gain kulfaten firaq ki
fikr-e-ah-e-shab gai nala-e-sahar gaya


ham-nawao dosto fikr aaj ki karo
kal ka tazkira hi kya jo hua guzar gaya
'dard' us nigah par jaan bhi nisar hai
jis ke iltifat par dil gaya jigar gaya


33643 viewsghazalEnglish