maqtal ka mere ghar se bahut fasla nahin hun mutmain ki sach se koi wasta nahin ek waqt wo ki dekhe bina chain hi na tha ek waqt ye ki us se koi rabta nahin hai satyamewa jayate ki takhti lagi hui sachchai ye ki sach ka wahan dakhila nahin mazi ki baat chhod de rakh haal par nazar ab wo khalil khan bhi nahin fakhta nahin us ne kaha qubul hai sauda zamir ka nikla meri zaban se be-sakhta nahin jitni siyasi log karen bewafaiyan is darja bewafa to koi dashta nahin 'wasiq' miyan mizaj ki shokhi kahan gai kah to rahe the gham se koi wasta nahin