mat puchh mere jah ko hashmat ko kya hua

mat puchh mere jah ko hashmat ko kya hua
hairan khud hun main meri qismat ko kya hua

kyon dekhte hi dekhte duniya badal gai
har shai ki ek dam se ye haalat ko kya hua

insaniyat ke shah ukhuwwat ke tajwar
in sab ke husn-e-khulq ki aadat ko kya hua

us ke khisal-e-nek ka shohra tha chaar su
ab is haya-o-sharm ko ghairat ko kya hua

late the chun ke log aqidat ke phul jo
na jaane aaj un ki aqidat ko kya hua

milte hain mujh se dost bhi aghyar ki tarah
koi batae un ki murawwat ko kya hua

'mohsin' kabhi jo karta tha mujh pe nisar jaan
ab sochta hun us ki mohabbat ko kya hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close