mere dil ki lagi wo kya jaane

By mohammad-lutfuddin-khan-lutfApril 5, 2022
mere dil ki lagi wo kya jaane
use main jaanun ya khuda jaane
aise bimar ka ilaj hi kya
dard ko apne jo dawa jaane


baat wo kya ki jis ka charcha ho
raaz wo kya jo dusra jaane
lazzaten us ki hum se puchhe koi
ishq ka koi kya maza jaane


us se kya ho nibah ki ummid
harf-e-matlab ko jo gila jaane
ab wo agli si baat us ki nahin
use kya kar diya khuda jaane


main ne dil 'lutf' us ko de hi diya
mujhe kya ho gaya khuda jaane
26154 viewsghazalEnglish