mere sipurd kiya hai na KHud liya hai mujhe
By ali-shiranJune 13, 2021
mere sipurd kiya hai na khud liya hai mujhe
kisi ne hairat-e-imkan mein rakh diya hai mujhe
bacha nahin main zara bhi badan ke bartan mein
tere khayal ne be-sakhta piya hai mujhe
tu ek shakhs hai lekin teri mohabbat mein
dil-o-dimagh ne taqsim kar diya hai mujhe
main apni samt bhi dekhun to kufr lagta hai
khuda ne yaad badi chah se kiya hai mujhe
judai ranj udasi andhera khauf ghutan
har ek yar ne dil khol kar jiya hai mujhe
tumhaare ba'd nahin ab kisi ki gunjaish
ki tum ne itna mohabbat se bhar diya hai mujhe

69269 viewsghazal • English