meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai
By wasi-shahNovember 24, 2020
meri aankhon ke samundar mein jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tadapne ki lagan kaisi hai
ab kisi chhat pe charaghon ki qataren bhi nahin
ab tere shahr ki galiyon mein ghutan kaisi hai
barf ke rup mein dhal jaenge sare rishte
mujh se puchho ki mohabbat ki agan kaisi hai
main tere wasl ki khwahish ko na marne dunga
mausam-e-hijr ke lahje mein thakan kaisi hai
regzaron mein jo banti rahi kanton ki rida
is ki majbur si aankhon mein karan kaisi hai
mujhe masum si ladki pe taras aata hai
use dekho to mohabbat mein magan kaisi hai

55218 viewsghazal • English