meri tum se shanasai bahut hai magar ehsas-e-tanhai bahut hai bikhar jaun to khud hi hai simatna ki ye duniya tamashai bahut hai mujhe gharqab ho jaane ka hai dar sarab-e-dasht dariyai bahut hai chalo ab sach bhi kah kar dekhte hain yahan shor-e-pazirai bahut hai nahin wusat tere dariya-e-dil mein magar aankhon mein gahrai bahut hai yahan se kuch karna hi padega tere kuche mein ruswai bahut hai 'asad' mushkil se ghabraata nahin hun dimagh-o-dil mein yaktai bahut hai