meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai
By ram-krishn-muztarNovember 13, 2020
meri zindagi bhi tu hai mera muddaa bhi tu hai
main tujhi ko chahta hun tu hi meri aarzu hai
kise dhundhti hain har-su meri be-qarar nazren
tu ye khub jaanta hai mujhe kis ki justuju hai
meri chashm-e-husn hi mein tere rukh ki tabishen hain
mere halqa-e-nazar mein teri zulf-e-mushk-bu hai
jo karam pe tum ho mail to ye shan hai tumhaari
na sawal kyun karun main ki sawal meri khu hai
meri ruh khush hai 'muztar' ki meri talab hai sadiq
jo nazar se chhup raha tha wahi aaj ru-ba-ru hai

27309 viewsghazal • English