milne ka un se ab koi imkan bhi nahin

By wasil-usmaniFebruary 15, 2022
milne ka un se ab koi imkan bhi nahin
lekin na jaane kyon main pareshan bhi nahin
har dam usi ki yaad hai zahrab-e-jaan mujhe
main us ko bhul jaun ye aasan bhi nahin


mana ki us se rabt-o-talluq nahin koi
kya us ka ishq ab meri pahchan bhi nahin
ab us se kya umid-e-wafa hum bhala karen
apni khataon par jo pasheman bhi nahin


mar-mar ke main ne khud hi guzari hai zindagi
is zindagi ka mujh pe kuchh ehsan bhi nahin
'wasil' ajib shakhs hai jis ko ki aaj tak
dushman ki aur dost ki pahchan bhi nahin


91056 viewsghazalEnglish