misl dariya ke agar ashk-fishani hoti

By fakhir-lakhnaviSeptember 2, 2023
misl dariya ke agar ashk-fishani hoti
aansuon mein sifat-e-sail rawani hoti
gar ajal aur bahanon se bhi aani hoti
phir shab-e-hijr na yun dushman-e-jaani hoti


yar tak kashti-e-tan bah ke pahunchti meri
qulzum-e-ashk mein itni to rawani hoti
un ke abru ke agar wasf sarasar likhta
surat-e-tegh qalam mein bhi rawani hoti


samri bahs mein kya tum se muqabil hota
murde ji uthte agar sehr-bayani hoti
qissa-e-qais mein kyunkar na jidadat karta
lutf kya hota kahani jo purani hoti


chashm-e-jadu ki bayan karte agar wo tarif
lab-e-isa mein bhi phir sehr-bayani hoti
ek hi din ke liye wasl pe raazi hote
meri minnat to koi aap ne mani hoti


ye hawa hoti na phir un ke hawa-khwahon mein
marg-e-ashiq ki khabar gar na udani hoti
gar dikhata karam-e-zehn-e-rasa faiz mujhe
surat-e-bahr tabiat mein rawani hoti


sun ke ro dete huzur aap bhi meri surat
jab bayan is dil-e-murda ki kahani hoti
dard-e-dil main jo bayan karne laga hans ke kaha
hum bhi sunte jo nai koi kahani hoti


faiz gar paikar-e-taswir mein hota tera
khun ki ragha-e-badan mein bhi rawani hoti
tan pe khata na main kyon shauq se gul chhallon ke
pas koi to mohabbat ki nishani hoti


kash padte rukh-e-nazuk pe nishan boson ke
kuchh na kuchh wasl ke pas un ki nishani hoti
un ka bismil jo tadap kar na lahad mein jata
lash ahbab ko kandhon pe uthani hoti


khat mujhe de ke jo paigham bhi deta qasid
guftugu us ki payambar ki zabani hoti
aandhiyan baad-e-fana phir na lahad par aatin
in hawaon ko na gar khak udani hoti


sun ke rah jate kaleje ko pakad ke apne
dil-e-pur-dard ki aisi to kahani hoti
gardanen aap se kattin na hazaron ki kabhi
badh par wo na agar tegh-e-jawani hoti


khak udata na agar ishq-e-butan ke pichhe
hae barbaad na yun meri jawani hoti
ishq hota na hasinan-e-jahan ka mujh ko
aap mashuq agar meri jawani hoti


apne hathon se kabhi qatl na karte 'fakhir'
mehndi gar khun ki un ko na lagani hoti
95332 viewsghazalEnglish