mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihan ban kar mere dil ka yaqin ho kar tere dil ka guman ban kar kare shukr-e-mohabbat mera har ruyan zaban ban kar agar tum bich mein aa jao shart-e-imtihan ban kar ye kis ki rah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat ajal khidmat ko aai hai hayat-e-jawedan ban kar jhatakta jaega un ko zamana apne daman se jo kuchh bhi rah gae pichhe ghubar-e-karwan ban kar zamane ki hawa ka rukh badal jaana muqaddar hai yahi tinke qafas honge bisat-e-ashiyan ban kar na ho jab thokaren khane pe bhi ehsas-e-bedari na tuten dil pe kyon nakaamiyan barq-e-tapan ban kar nahin jab naqsh-e-awwal ki tarah rang-e-baqa tujh mein zarurat kya hai rahne ki nishana le nishan ban kar faza pur-kaif ban kar chha gai ghunchon ki ranai chaman mein kaun aata hai bahaar be-khizan ban kar zamin ki tarah jab hasil hai qudrat burdbari ki rahun ai 'jurm' kyon gardish mein nahaq aasman ban kar