mohabbat kya badhi hai wahm baham badhte jate hain hum un ko aazmate hain wo hum ko aazmate hain na ghatti shan-e-mashuqi jo aa jate ayaadat ko bure waqton mein achchhe log aksar kaam aate hain jo hum kahte nahin munh se to ye apni murawwat hai churana dil ka zahir hai ki wo aankhen churaate hain saman us bazm ka barson hi guzra hai nigahon se kab aise-waise jalse apni aankhon mein samate hain kahan tak imtihan kab tak mohabbat aazmaoge unhin baaton se dil ahl-e-wafa ke chhut jate hain khumar aankhon mein baqi hai abhi tak bazm-e-dushman ka tasadduq us dhitai ke nazar hum se milate hain dil ek jins-e-giran-maya hai lekin aankh walon mein ye dekhen husn wale is ki qimat kya lagate hain kisi ke sar ki aafat ho hamare sar hi aati hai kisi ka dil koi take magar hum chot khate hain gae wo din ki name chaak hote the 'hafiz' apne hasin ab to meri tahrir aankhon se lagate hain