mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai

By mushir-jhanjhanviNovember 10, 2020
mohabbat mein sahar ai dil barae nam aati hai
ye wo manzil hai jis manzil mein aksar sham aati hai
safina jis jagah duba tha mera bahr-e-ulfat mein
wahan har mauj ab tak larza-bar-andam aati hai


na jaane kyun dil-e-gham aashna ko dekh leta hun
jahan kanon mein aawaz-e-shikast-e-jam aati hai
dil-e-nadan yahi rangin adaen lut leti hain
shafaq ki surkhiyon hi mein to chhup kar sham aati hai


mohabbat ne har ek se be-talluq kar diya mujh ko
tumhaari yaad bhi ab to barae nam aati hai
na jaane kaun si mahfil mein ab tum jalwa-farma ho
nazar rah rah ke uthti hai magar nakaam aati hai


gham-e-dauran se mil jati hai thodi der ko fursat
tasawwur mein jahan ek jannat-e-benam aati hai
badal sakta hun us ka rukh magar ye soch kar chup hun
tumhaara nam le kar gardish-e-ayyam aati hai


laraz uthte hain kaunain ai 'mushir' anjam-e-ulfat par
jabin-e-shauq us ke dar se jab nakaam aati hai
92791 viewsghazalEnglish