mohabbaton mein kabhi ye asar nazar aae

mohabbaton mein kabhi ye asar nazar aae
wo ek bar dikhe umr bhar nazar aae

jo sar jhukaun to pairon mein bediyan dekhun
jo sar uthaun to neze pe sar nazar aae

sukun dhundte thak jaun aur aakhir-kar
wo tang galiyon mein mitti ka ghar nazar aae

na manzilon ka pata hai na raston ki khabar
bhatakti aankhon ko ab rahbar nazar aae

yahi to nauha hai furqat-zada in aankhon ka
payam-e-yar mile nama-bar nazar aae

tabhi to manun ki han us ko bhi mohabbat hai
jab us ki aankhon mein furqat ka dar nazar aae

mujh aisa bazm mein koi to sar-ba-zanu ho
in hanste chehron mein ek chashm-e-tar nazar aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close