motaqid is bar shayad surKH-ru hone ko hai

By rahat-hasanNovember 13, 2020
mo'taqid is bar shayad surkh-ru hone ko hai
dost tha jo ab talak wo bhi adu hone ko hai
dar khule jate hain gum-gashta makinon ki taraf
har kisi ko apni apni justuju hone ko hai


parbaton ki shakl mein tabdil hota hai dhuan
kya koi aaseb mere ru-ba-ru hone ko hai
surkhiyon mein dhalti jati hai syahi dam-ba-dam
rafta rafta sara hi pani lahu hone ko hai


wahm ki taid karti hai hawaon ki nami
pyas ke maron pe zahir aabju hone ko hai
sai-e-la-hasil se bhi hasil hua hai wo mujhe
jis ki sab zinda-dilon ko aarzu hone ko hai


ek zamane baad 'rahat' hosh mein aaya hun main
ek zamane baad khud se guftugu hone ko hai
59261 viewsghazalEnglish